Search Lyrics

Sunday, September 15, 2019

Maein Kyun Daaman Ko Faylaaun Lyrics - Bade Dilwala (1999)

Lyrics of "Maein kyun daaman ko faylaaun" from movie Bade Dilwala released in the year 1999.

Bade Dilwala

Maein Kyun Daaman Ko Faylaaun song Lyrics - Bade Dilwala (1999)

Maein kyun daaman ko faylaaun
Main kyun koi dua maangun
Tujhe jab pa liya maine
Khuda se aur kya maangun
Baantt raha tha jab khuda
Saare jahan ki naematein
Apne khuda se maang li
Maine teri wafa sanam
Baantt raha tha jab khuda
Baantt raha tha jab khuda
Saare jahan ki naematein
Apne khuda se maang li
Maine teri wafa sanam

Meri wafa ke saaz mein
Goonj rahi hai laey teri
Meri wafa ke saaz mein
Goonj rahi hai laey teri
Maein bhi hoon teri jaanejaan
Meri wafa bhi hai teri
Tu hi jo mil gaya mujhe,
Tu hi jo mil gaya mujhe
Chaahiye aur kya sanam
Baantt raha tha jab khuda
Saare jahan ki naematein
Apne khuda se maang li
Maine teri wafa sanam

Kaash maein apni zindag
Pyar mein yoon guzaar doon
Kaash maein apni zindag
Pyar mein yoon guzaar doon
Waqt padhe to dil ke saath
Jaan bhi apni vaar doon
Shayad isi tarah se ho,
Shayad isi tarah se ho
Pyar ka haq ada sanam
Baantt raha tha jab khuda
Saare jahan ki naematein
Apne khuda se maang li
Maine teri wafa sanam

Log yahan tere mere
Pyar ko aazmayenge
Tujhko alag satayenge
Mujhko alag rulayenge
Apna magar hai faisla
Honge na hum juda sanam
Baantt raha tha jab khuda
Saare jahan ki naematein
Baantt raha tha jab khuda
Saare jahan ki naematein
Apne khuda se maang li
Maine teri wafa sanam.

Credits

SongMaein Kyun Daaman Ko Faylaaun
MovieBade Dilwala (1999)
Singer(s)Alka Yagnik , Udit Narayan
MusicAadesh Shrivastava , Shankar Mahadevan
LyricsQateel Shifai
क्या आप हमारे इस वेबसाइट पर उपलब्ध होने वाले नए गानों के बारेमे सूचना पाना चाहते हैं ? तो निचे सब्सक्राइब करें |

Enter your email address:

Delivered by FeedBurner