Search Lyrics
Sunday, September 15, 2019
Taaj Tere Liye Ik Mazahar E Ulfat Hi Sahi Lyrics - Gazal (1964)
Taaj Tere Liye Ik Mazahar E Ulfat Hi Sahi song Lyrics - Gazal (1964)
Taaj tere liye ik mazahar e ulfat hi sahi
Tujh ko is waadi e rangeen se aqeedat hi sahi
Meri mehboob kahin aur mila kar mujhse
Meri mehboob kahin aur mila kar mujhse
Meri mehboob
Anginat logon ne duniya mein mohabbat ki hai
Anginat logon ne duniya mein mohabbat ki hai
Kaun kehtaa hai ki saadiq na thhe jazbe unke
Lekin unke liye tashheer kaa saman nahin
Kyon ke wo log bhi apni hi tarah muflis thhe
Meri mehboob kahin aur mila kar mujhse
Meri mehboob
Ye chamanzaar ye jamuna ka kinara ye mahal
Ye chamanzaar ye jamuna ka kinara ye mahal
Ye munaqqash dar o deewar ye mehrab ye taq
Ik shahanashaah ne daulat ka sahara lekar
Ham gareebon ki mohabbat ka udaya hai mazak
Meri mehboob, meri mehboob
Meri mehboob kahin aur mila kar mujhse
Meri mehboob kahin aur mila kar mujhse
Meri mehboob.
Credits
Song | Taaj Tere Liye Ik Mazahar E Ulfat Hi Sahi |
---|---|
Movie | Gazal (1964) |
Singer(s) | Mohammed Rafi |
Music | Madan Mohan Kohli |
Lyrics | Sahir Ludhianvi |